Mai hu jaspreet singh aapka apne blog Indian Share Market Technical Analysis mai sawagat hai . Ham is blog mai kal ke bazar ka daily update dete rahege. Mai yeh technical analysis ek educational purpose lea kar rha hu , technical analysis sambavo ka khel hai is lea aapke profit ya loss ke lea mai jimewar nai huga .Bina time waste kea chalo technical analysis start karte hai .
Tomorrow Market (Bazar Kal)
Important Levels for Tomorrow trading:
These are the most import Fibonacci levels : 9450,9280,9240,9190,9110
Pivot point 9218
Resistance : 9260,9320,9422
Support: 9158,9115,9014
According to Fibonnaci Retacement:
Daily chart mai fibonacci Retracement bta rha hai ki 50% and 38.2% ki Retracement complete ho chuki hai ,ab market down jana start kar dega aaisa Fibonnaci retracement bta rha hai . yaad rakhe nifty ke daily base par 9960, 9380 , 8666 ,7509 bahut jayda support ke points hai , avi nifty ke lea 9380 ek resistance ka bahut bda point hai , agar 9380 ke upper closing nai deta toh nifty ke niche jane ke chance bahut badh jaege aaisa hame fibonnaci bta rha hai.
According to Trend:
Aap clearly dekh sakte hai ki Nifty 50 ki trendline break ho chuki hai , jo hame strongly bta rahi hai ki bazar long term mai niche ja sakta hai.
According to RSI:
RSI Daily chart par 48.4930 par chal rha hai jo ki ek sideway market ka sign de rha hai , jab RSI 40 ke niche jaega tab hamko ek niche ki taraf bda momentum dekhne ko mil sakta hai.
According to MACD:
Agar aap MACD ki taraf dekhe toh woh bearish crossover ki taraf badh rha hai ,jo hame market aane wale future mai niche jane ka sign de rha hai.
According to Call put ratio:
Nifty ki put call ratio 0.93 hai aur bank nifty ki 0.85 hai jo ki 1 se kam hai , call put ratio minor sa bulish ka sankeet de rha hai.
International Markets
Global markets almost sabhi ke sabhi upper hai jo monday Nifty upper khulne ka sign de rha hai.
Conclusion: Some of the indicators showing bullishness and some of them bearish but overall sediments show a bearishness of the market.
I hope you enjoy this blog post.
Comments
Post a Comment